-->

Thursday 26 May 2016

Ya Shahenshah-e-Madina, Assalatu Wassalam upload by all in one vichar


Ya Shahenshah-e – Madina, as-salatu wa s-salam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, as-salatu wa s-salam

Rabbi-Habli-Ummati Kehte Huway Paida Huay
Haq Ne Farmaya Ke Bakhsha, as-salatu wa s-salam

Mu’mino Partay Raho Tum Apnay Aqa Par Durood
Hai Farishto Ka Wazifa, as-salatu wa s-salam

Bud Shikan Aya Hai Keh Kar Sar Ke Balbut Ghir Pare
Jhoom Kar Kehta Tha Kaaba, as-salatu wa s-salam

Jab Farishtay Qabr Mein Jalwa Dikha-e Aap Ka
Ho Zabban Par Pyaare Aqa, as-salatu wa s-salam,

Mein Woh Sunni Hu Jamil-e Qadri Marnay Ke Baad
Mayra Laasha Bhi Kahe Ga, as-salatu wa s-salam

No comments:

Post a Comment